uljhi hui sochon ki girhen kholte rahna

uljhi hui sochon ki girhen kholte rahna
achchha hai magar in mein lahu gholte rahna

din bhar kisi manzar ke taaqub mein bhatakna
aur sham ko lafzon ke nagin rolte rahna

main lamha-e-mahfuz nahin ruk na sakunga
udna hai mere sang to par taulte rahna

khamosh bhi rahne se janaze nahin rukte
jine ke liye ham-nafaso bolte rahna

achchha nahin aaghaz-e-masafat hi mein 'nasir'
kashti ka sar-e-ab-e-rawan dolte rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close