ummid-e-wasl us se khuda ki qasam nahin kahte hain arz-e-bosa pe wo dam-ba-dam nahin us ka tawaf karte hain ushshaq-e-roz-o-shab ku-e-sanam bhi rutbe mein kabe se kam nahin mere sawal-e-wasl ko lillah rad na kar dekh ai sanam ye shewa-e-ahl-e-karam nahin huron ka tujh mein husn hai pariyon ki shokhiyan ai but qasam khuda ki kisi se tu kam nahin yan dard-e-dil se mujh ko nahin chain ab ghadi un ko qarar shokhiyon se ek dam nahin nazan hon apne bakht-e-siyah par na kis tarah ye tirgi mein yar ki zulfon se kam nahin aankhen jo rone mein to tadapne mein dil hai fard wo abr se to ye kisi bijli se kam nahin apne liye main un se rakhun ab umid kya sunta hun marg-e-ghair ka kuchh un ko gham nahin tum imtihan-e-ghair kabhi karke dekh lo rah-e-wafa mein wo kabhi sabit-qadam nahin jo kaam un ke lab se wo tere qadam se ho thokar bhi teri kuchh qum-e-isa se kam nahin kis dam nahin hai yar ki tegh-e-nigah ki yaad kis waqt mere qatl ka saman baham nahin hum bewafaiyan na karenge adu ki tarah tum ko wahi khayal abas hai wo hum nahin apni wafa ka zikr hasinon mein rah gaya duniya mein nam aaj hamara hai hum nahin aankhen jo roin hijr mein ek hashr ho bapa ye do habab nuh ke tufan se kam nahin mamnun hun khuda ki inayat ka ai 'fahim' rahat ka mere kaun sa saman baham nahin