umr bhar bahte hain gham ke tund-rau dhaaron ke sath

umr bhar bahte hain gham ke tund-rau dhaaron ke sath
jaane kyun hote hain itne zulm fankaron ke sath

abr ki surat baraste hain buland-o-past par
hum nahin aansu bahate lag ke diwaron ke sath

zehn ke parde pe raqsinda hain pyasi suraten
hum nashe mein kaise bah sakte hain mai-khwaron ke sath

roz khun-e-arzu hota hai phir bhi pyar hai
hum ko ai hasti tere dilchasp bazaron ke sath

ham-safar hai khak-o-baad-o-atish-o-ab ai 'hazin'
kash nibh jae hamari ab inhi chaaron ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close