umr guzri hai bad-gumani par main yaqin kar gaya kahani par chand meri tarah bhi tuta tha jab ghata chhai rut suhani par todiye ab rasan firaq ki yar rahm kha jao zindagani par sans tham jaegi samundar ki ashk gir jaega jo pani par man bulae to aap bole nahin haif hai aap ki jawani par naz karta hai zamzam-o-kausar har ghadi arq-e-zau-fishani par