umumi soch se baDh kar bhi kuchh fankar rakhta hai

umumi soch se badh kar bhi kuchh fankar rakhta hai
wasila koi bhi ho quwwat-e-izhaar rakhta hai

mera ye dil ba-zahir maslahat-andesh hai lekin
ana hawi agar ho jurat-e-inkar rakhta hai

reaya khud ko kitni be-aman mahsus karti hai
adawat shah se jab bhi sipah-salar rakhta hai

tajjub hai wafa ke bab mein bhi had muqarrar hai
wo sab samton mein jaise kanch ki diwar rakhta hai

hamari chahaten sach hain magar haalat ka dariya
mujhe is par rakhta hai tujhe us par rakhta hai

nahin apni khabar 'farhan' ko lekin ba-sad hairat
wo apne sath har dam subh ka akhbar rakhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close