un ko roz ek taza hila ek KHanjar chahiye

un ko roz ek taza hila ek khanjar chahiye
hum ko roz ek jaan nai aur ek naya sar chahiye

iltifat o sargirani par khushi kya ranj kya
kuchh bahana is se badh kar dida-e-tar chahiye

kya dikhaen khushk lab do bund ke saqi hain sab
pyas sahra-e-azal us ko samundar chahiye

sach ki ek nannhi si konpal ko kuchalne ke liye
jhut aur dushnam ke lashkar ke lashkar chahiye

sabr ka daman-e-daulat hai amiron ka amir
jabr ki daryuzgi ko sainkadon dar chahiye

but banane pujne phir todne ke waste
khud-parasti ko naya har roz patthar chahiye

hum ne jis duniya ko thukraya tha un ke waste
mil gae wo to usi duniya ka chakkar chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close