un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna

un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna
kuchh madawa-e-gham-e-gardish-e-dauran rakhna

apne qabu mein zara gesu-e-pechan rakhna
ras aata nahin duniya ko pareshan rakhna

is andhere mein bhatak jaen na yaaden un ki
apni mizhgan pe charaghon ko farozan rakhna

aaj-kal bikte hain bazar mein insan ke zamir
tum ho insan to phir waqat-e-insan rakhna

dagh dil ke hain salamat to koi baat nahin
tirgi lakh sahi subh ka imkan rakhna

mausam-e-shahr-e-nigaran ka koi thik nahin
gosha-e-dil mein koi aatish-e-sozan rakhna

tum se sach puchho to itni hai guzarish meri
apne 'afsar' ko khizan mein bhi ghazal-khwan rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close