uqde ulfat ke sab ai rashk-e-qamar khol diye

uqde ulfat ke sab ai rashk-e-qamar khol diye
sina yun chaak kiya dagh-e-jigar khol diye

sab hasinon ne mere qatl pe kamren bandhin
dore talwaron ke aur band-e-sipar khol diye

aa gaya hosh teri chaal ke mushtaqon ko
hashr ki sun ke sada dida-e-tar diye

pai taron ne ziya badh gai tariki-e-shab
us ne munh dhanp ke kanon ke guhar khol diye

aam baran ki tarah se hai karam saqi ka
aai barsat ki maikhane ke dar khol diye

ja ajab ki nahin gar ahl-e-mohabbat roe
mere matam mein hasinon ne bhi sar khol diye

aankhen khole hue sab dekh rahe hain tujh ko
dil ke jaane ko ye ushshaq ne dar khol diye

imtihan hasrat-e-parwaz ka manzur hua
zabh kar ke mujhe sayyaad ne par khol diye

sharm aaegi mujhe log samajh jaenge
tum ne gesu mere lashe par agar khol diye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close