us shoala-ru se jab se meri aankh ja lagi kya jaane tab se sine mein kya aag aa lagi kabe mein wo zuhur hai jo but-kade mein hai ai shaikh munsifi se tu kahiyo khuda-lagi pa tak bhi dastaras na ho mujh ko ye rashk hai aur tere hath mein rahe qatil hina lagi dushnam tum ne mujh ko jo di to main khush hua aur main ne di dua to tujhe bad-dua lagi wo ghuncha-lab jo khanda-zanan hai chaman mein aaj shayad gulon ke khilne ki us ko hawa lagi khwabida bakht ne wahin bedar kar diya tere khayal mein jo ye aankh ek zara lagi 'ghamgin' jo ek aan pe tere ada hua kya khush ada use teri ai khush-ada lagi