us shoKH se kya kijiye izhaar-e-tamanna

us shokh se kya kijiye izhaar-e-tamanna
ye log koi sunte hain guftar-e-tamanna

ek aarzu sab le gae sath apne jahan se
anjam kisu se na hua kar-e-tamanna

ye khubi-e-qismat ki mile bagh-e-jahan se
sab ko gul-e-umid o hamein khar-e-tamanna

hasrat se bhara dil mere pahlu mein nahin hai
phirta hun baghal mein liye tumar-e-tamanna

pahlu ko mere bagh kiya ishq ne tere
zakhmon se mera dil hua gulzar-e-tamanna

murdon se 'huzur' ho na sake minnat-e-duna
sar jae par un se na uthe bar-e-tamanna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close