use bhulae hue mujhko ek zamana hua

use bhulae hue mujh ko ek zamana hua
ki ab tamam mere dard ka fasana hua

hua badan mera dushman adu hui meri ruh
main kis ke dam mein aaya hawas-nishana hua

yahi charagh jo raushan hai bujh bhi sakta tha
bhala hua ki hawaon ka samna na hua

ki jis ki subh mahakti thi sham raushan thi
suna hai wo dar-e-daulat gharib-khana hua

wo log khush hain ki wabasta-e-zamana hain
main mutmain hun ki dar us ka mujh pe wa na hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close