usi ka jalwa-e-zeba hai chandni kya hai ye chand kya hai ye suraj ki raushni kya hai usi ke husn pe deta hai jaan parwana nahin to sham ke shoalon mein dilkashi kya hai kahan ka wasl kahan ka firaq kis ka gila wajud ek hi thahra to phir dui kya hai kisi pe raaz-e-haqiqat khule tu khak khule jab aadmi nahin waqif ki aadmi kya hai jabin-e-shauq hai aur un ka aastana hai jo bandagi ye nahin hai to bandagi kya hai zaban o dil ke talluq ka bhi lihaz rahe 'sarir' dil ko na chhu le wo shairi kya hai