uske apne darmiyan istada ek diwar main

us ke apne darmiyan istada ek diwar main
ek dasht-e-shadmani us mein ek aazar main

main nahin tha tu hi tha aalam mein lekin tere baad
ai khuda-e-izz-o-jal tera hua izhaar main

shama se hai nur jaisa tera mera insilak
warna tu bahti hawa hai phul ki mahkar main

bakht ki sazish kahun ya phir mashiyyat ghaib ki
tir-zan koi bhi ho lekin hadaf har bar main

kal talak us ka raha tha dil ko mere ishtiyaq
aaj wo nazdik hai par us se hun bezar main

ek na ek din to musakhkhar us ko hona hai 'nadim'
wo khalaon ka makin hai nur ki raftar main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close