us ke liye aanhken dar-e-be-khwab mein rakh dun phir shab ko jala kar unhen mehrab mein rakh dun surat hai yahi ab to guzarna hai yunhi waqt jis baat ko dil chahe use khwab mein rakh dun phirte hain sada jis mein samundar bhi zamin bhi ye pura falak bhi usi girdab mein rakh dun ye sare sitare kisi dariya mein baha dun bas chand pakad kar kisi talab mein rakh dun kapde jo mujhe tang hon pahna dun khala ko aur khwab purane kahin mahtab mein rakh dun itna bhi na aasan ho yahan pyas bujhana bahta hua dhoka sa kahin aab mein rakh dun sab kuchh hi ganwa dene se behtar hai ki 'shahin' khashak-e-dil-o-jaan rah-e-sailab mein rakh dun