uski aankhon ne sar-e-bazm Thaharne na diya

us ki aankhon ne sar-e-bazm thaharne na diya
sabr mazlum ko zalim ki nazar ne na diya

aankh bhar kar unhen hum dekh hi lete dam bhar
itna mauqa hi kabhi dida-e-tar ne na diya

shikwa-e-wada-khilafi pe wo jhallae magar
muskurahat ke tasadduq ki mukarne na diya

jab wo aae sar-e-mahfil to sanwarne aae
un ko shokhi ne kabhi ghar mein sanwarne na diya

apni barbaad jawani ki hai rudad itni
gham ne hansne na diya ishq ne marne na diya

'mast' kya us ki mohabbat mein tera dil thahra
apni nazron ko kabhi jis ne thaharne na diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close