us ki gali mein zarf se badh kar mila mujhe ek pyala justuju thi samundar mila mujhe main chal pada tha aur kisi shahrah par khanjar-ba-dast yaadon ka lashkar mila mujhe dariya-e-shab se par utarna muhaal tha tuta hua safina-e-khawar mila mujhe taron mein us ka aks hai phulon mein us ka rang main jis taraf gaya mera dilbar mila mujhe har zarra ba-kamal hai har patta be-misal duniya mein khud se koi na kam-tar mila mujhe kab se bhatak raha hun main is dasht mein magar khud se kabhi mila na tera dar mila mujhe hota nahin hai tujh pe kisi baat ka asar lagta hai tere rup mein patthar mila mujhe be-kaif kat rahi thi musalsal ye zindagi phir khwab mein wo khwab sa paikar mila mujhe is baat par karunga main din raat ehtijaj kis jurm mein ye khak ka bistar mila mujhe mujh ko nahin rahi kabhi manzar ki justuju ghar ke qarib ku-e-sitamgar mila mujhe jab tak raha main khud mein bhatakta raha yahan jab khud ko kho diya to tera dar mila mujhe mitti mein dhundta hua kuchh budha aasman main jis taraf gaya yahi manzar mila mujhe karte hain log husn se yan na-rawa suluk rote hue hamesha gul-e-tar mila mujhe