us ki hasti qaza ki qaid mein hai jo parinda hawa ki qaid mein hai is se behtar hai yar mar jaun mera jina khuda ki qaid mein hai shab se khaif hai nind ki titli khwab dast-e-hina ki qaid mein hai dil meri aankh mein dhadakta hai aankh teri ada ki qaid mein hai sab qabile hain khun ke pyase sari basti ana ki qaid mein hai chhod kar phir se laut aata hai tu meri kis dua ki qaid mein hai wo ziya ko bhi phunk sakta hai jo andhera ziya ki qaid mein hai wo hai aazad har hawale se jo bashar karbala ki qaid mein hai main jawani mein ho gaya budha ibtida intiha ki qaid mein hai tum shifa dhundte ho duniya mein aur wo khak-e-shifa ki qaid mein hai jaan 'rahib' samaaton ka hujum teri andhi sada ki qaid mein hai