uski talab mein rah ko takti hai zindagi

us ki talab mein rah ko takti hai zindagi
aankhon mein waqt-e-sham chamakti hai zindagi

tere liye jab aankh barasti hai raat ko
phir dil ke sath sath sulagti hai zindagi

dukh se nidhaal ho ke jo roti hain betiyan
phir un ke dekh dekh ke hansti hai zindagi

jo ek khayal bais-e-azar hai bahut
us ek khayal se hi chahakti hai zindagi

kis se karen ye baat ki jo haal hain yahan
khamosh agar hue to bilakti hai zindagi

raston ko soch soch pareshan hain sabhi
manzil ko khoj khoj sisakti hai zindagi

chahat ke jo bhi zakhm hain rakhiye sambhaal kar
in ki hi bas se to mahakti hai zindagi

us ne diya tha ek diya rah ke liye
kab tak jalega aaj to thakti hai zindagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close