usko naghmon mein sameTun to buka jaane hai

us ko naghmon mein sametun to buka jaane hai
girya-e-shab ko jo naghme ki sada jaane hai

main teri aankhon mein apne liye kya kya dhundun
tu mere dard ko kuchh mujh se siwa jaane hai

us ko rahne do mere zakhmon ka marham ban kar
khun-e-dil ko jo mere rang-e-hina jaane hai

meri mahrumi-e-furqat se use kya lena
wo to aahon ko bhi manind-e-saba jaane hai

ek hi din mein tere shahr ki masmum faza
mere pairahan-e-sada ko riya jaane hai

main kabhi tere dariche mein khila phul bhi tha
aaj kya hun tere gulshan ki hawa jaane hai

mujh se kahta hai mera shokh ki iqbaal-'matin'
tum rahe raat kahan ye to khuda jaane hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close