usko pa jaun kabhi aisa muqaddar hai kahan

us ko pa jaun kabhi aisa muqaddar hai kahan
aur utha lun us se dil ye zor dil par hai kahan

ghut ke rah jae na sar hi mein kahin zauq-e-sujud
main to sar har dar pe rakh dun par koi dar hai kahan

naghma-rezi saz ki bazigari mutrib ki hai
naghma koi be-nawa taron ke andar hai kahan

us ke honton se jhalakti hai meri lab-tishnagi
khinch rahi hai mai kahan par aur saghar hai kahan

main wahan rahta hun gunjaish jahan meri nahin
kya kahun kis ghar mein rahta hun mera ghar hai kahan

khud ko dekha hai jab un aankhon mein jhanka hai 'muhib'
mujh ko itna qurb khud se bhi mayassar hai kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close