usne kaha hasti teri maine kaha jalwa tera

us ne kaha hasti teri main ne kaha jalwa tera
us ne kaha phir nisti main ne kaha parda tera

us ne kaha jaana mera main ne kaha meri ajal
us ne kaha phir zindagi main ne kaha aana tera

us ne kaha sham-e-bala main ne kaha gesu tere
us ne kaha subh-e-safa main ne kaha chehra tera

us ne kaha baran-e-gham main ne kaha rona mera
us ne kaha barq-e-sitam main ne kaha hansna tera

us ne kaha tu kaun hai main ne kaha naqsh-e-qadam
us ne kaha manzil teri main ne kaha kucha tera

us ne kaha kya kaam hai main ne kaha khidmat teri
us ne kaha kya nam hai main ne kaha banda tera

us ne kaha dil le gaya main ne kaha han le gaya
us ne kaha wo kaun tha main ne kaha ghamza tera

us ne kaha kya dil mein hai main ne kaha ulfat teri
us ne kaha kya sar mein hai main ne kaha sauda tera

us ne kaha kis se gila main ne kaha taqdir se
us ne kaha taqdir kya main ne kaha mansha tera

us ne kaha shab kaun tha main ne kaha 'taufiq' tha
us ne kaha wo kaun hai main ne kaha shaida tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close