usne KHwab mein mujhko jab do kanwal diye

us ne khwab mein mujh ko jab do kanwal diye
jiwan ki nadiya ke dhaare badal diye

un phulon ki ab bhi yaad satati hai
phul jo apne hathon khud hi masal diye

main ne jhil kinare us ka nam liya
jhil ne hans ke nile moti ugal diye

sare arman kab nikle hain sine se
aise bhi hain sine mein jo machal diye

aise bhi the log jo gir ke sambhle kam
hum ne thokar khai aur phir sambhal diye

us dukh ne rakkha hai mujh ko abad talak
jis dukh ne han mujh ko jam-e-azal diye

us ne hans kar mujh se meri baaten kin
lamhe bhar mein sare mausam badal diye

us se 'nighat' qaem mera pyar rahe
jis ne ye ashaar ba-surat-ghazal diye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close