usne kiya hai wada-e-farda aane do usko aae to

us ne kiya hai wada-e-farda aane do us ko aae to
nam badal dena phir mera laut ke wapas jae to

arz-e-tamanna karenge us se agar na wo thukrae to
us se zarur milenge ja kar pahle hamein bulae to

izzat-e-nafs ka hai ye taqaza husn-e-suluk karen donon
us ko hum labbaik kahenge rasm-e-wafa nibhae to

safha-e-zehn pe naqsh hai us ka mere abhi tak naz-o-niyaz
jaise sharmata tha pahle waise hi sharmae to

ruthne aur manane ke ehsas mein hai ek kaif-o-surur
main ne hamesha use manaya wo bhi mujhe manae to

kyun rahta hai mujh se bad-zan hai jo mera manzur-e-nazar
kuchh nahin aata meri samajh mein koi mujhe samjhae to

khun-e-jigar se sinchunga gulzar-e-tamanna us ke liye
bagh-e-hayat mein gul-e-mohabbat aa kar mere khilae to

fasl-e-khizan mein kya hoga aasar numayan hain jis ke
fasl-e-bahaar mein 'barqi' apne dil ki kali murjhae to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close