usne likha tha harf-e-judai mere liye

us ne likha tha harf-e-judai mere liye
phir mit gai thi sari khudai mere liye

gajre tamam shahr mein bant aaya to khula
ghar mein bhi muntazir thi kalai mere liye

sundar gulab khwab to khwabon ki baat hai
ye raat nind bhi to na lai mere liye

pur-nur sar-zamin pe aa kar bhula diya
kis ne lahu se shama jalai mere liye

wo bhi the ratjagon ki masafat mein ham-safar
taron ne raat raat sajai mere liye

'firoz' main ne khud hi salasil pahan liye
mumkin nahin hai ab to rihai mere liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close