uThiye ki phir ye mauqa hathon se ja rahega

uthiye ki phir ye mauqa hathon se ja rahega
ye karwan hai aakhir kab tak ruka rahega

zakhmon ko ashk-e-khun se sairab kar raha hun
ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega

band-e-qaba ka khulna mushkil bahut hai lekin
jo khul gaya to phir ye uqda khula rahega

sargarmi-e-hawa ko dekha hai pas dil ke
is aag se ye jangal kab tak bacha rahega

khulti nahin hai ya rab kyun nind raftagan ki
kya hashr tak ye aalam soya pada rahega

yaksar hamare bazu shal ho gae hain ya-rab
aakhir daraaz kab tak dast-e-dua rahega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close