uTTha hun ek hujum-e-tamanna liye hue

uttha hun ek hujum-e-tamanna liye hue
duniya se ja raha hun main duniya liye hue

muddat se garche jalwa-gah-e-tur se khamosh
aankhen hain ab bhi zauq-e-tamasha liye hue

duniya-e-arzu se kinara to kar ke dekh
duniya khadi hai daulat-e-duniya liye hue

roz-e-azal se ishq hai nakaam-e-arzu
dil hai magar hujum-e-tamanna liye hue

ai kam-nigah dida-e-dil se nigah kar
har zarra hai haqiqat-e-sahra liye hue

hasti ki subh kaun si mahfil ka hai maal
aankhen khuli hain hasrat-e-jalwa liye hue

din-bhar meri nazar mein hai wo yusuf-e-bahaar
aati hai raat khwab-e-zulekha liye hue

dil phir chala hai le ke tere aastan ki samt
apni shikastagi ka sahaara liye hue

wo din kahan ki thi mujhe jine ki aarzu
phirta hun ab to dil ka janaza liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close