wada hai ki jab roz-e-jaza aaega

wada hai ki jab roz-e-jaza aaega
tu apne hi jalwon mein ghira aaega

ta-hashr yunhi muntazir-e-did rahun
chupke se kabhi aa ke bata, aaega

main nama-e-amal khula rakkhunga
rahmat ko teri josh siwa aaega

hasrat-e-gah-e-alam mein tamanna ka qadam
illa ki taraf surat-e-la aaega

khali bhi to kar khana-e-dil duniya se
is ghar mein meri jaan khuda aaega

dariya mein bahut lahr hain khwabida abhi
jagengi to tufan bada aaega

mahfil mein sabhi dost nahin aate hain
dushman bhi koi dost-numa aaega

ab tab na launga ye andesha hai
manzar jo koi hosh-ruba aaega

niklo bhi kabhi sud-o-ziyan se warna
kuche mein tere kaun bhala aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close