wada jo tha nibah ka tumne wafa nahin kiya

wada jo tha nibah ka tum ne wafa nahin kiya
hum ne to aaj tak tumhein dil se juda nahin kiya

hum hi wo kam-nasib the mange mili na maut bhi
aap ka kya qusur hai aap ne kya nahin kiya

mom hue pighal gae sang bane chatakh gae
phir bhi zaban se aaj tak hum ne gila nahin kiya

dasht-e-talab mein har sada gunj bani bikhar gai
kis ko sulagti ret ne aabla-pa nahin kiya

wo to ye kahiye sakht-jaan hum the ki war sah gae
tum ne wagarna ek bhi tir khata nahin kiya

aaj wafa ka wasta deta hai wo sitam-zarif
jis ne ghurur-e-husn mein khauf-e-khuda nahin kiya

waise to sab ba-zom-e-khwesh sachche hain len-den ke
mitti ka jis pe qarz tha us ne ada nahin kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close