wafaen kar ke jafaon ka gham uThae ja

wafaen kar ke jafaon ka gham uthae ja
isi tarah se zamane ko aazmae ja

kisi mein apni sifat ke siwa kamal nahin
jidhar ishaara-e-fitrat ho sar jhukae ja

wo lau rabab se nikli dhuan utha dil se
wafa ka rag isi dhun mein gungunae ja

nazar ke sath mohabbat badal nahin sakti
nazar badal ke mohabbat ko aazmae ja

khudi-e-ishq ne jis din se khol din aankhen
hai aansuon ka taqaza ki muskurae ja

nahin hai gham to mohabbat ki tarbiyat naqis
hawadis aaen to narmi se pesh aae ja

thi ibtida mein ye tadib-e-muflisi mujh ko
ghulam rah ke ghulami pe muskurae ja

badal na rah khirad ke fareb mein aa kar
junun ke naqsh-e-qadam par qadam badhae ja

ummid o yas mein jina hai ishq ka maqsud
isi maqam-e-muqaddas pe tilmilae ja

chaman mein fursat o taskin hai maut ka paigham
sukun pasand na kar aashiyan banae ja

yahi hai lutf-e-mohabbat yahi hai kaif-e-hayat
haqiqaton ki bina par fareb khae ja

wafa ka khwab hai 'ehsan' khwab-e-be-tabir
wafaen kar ke muqaddar ko aazmae ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close