wafaon ke irade wusat-e-manzil mein rahte hain

wafaon ke irade wusat-e-manzil mein rahte hain
pas-o-pesh-e-sitam pesh-o-pas-e-mahmil mein rahte hain

nuqush-e-rah-raw-e-manzil rah-e-manzil mein rahte hain
chakoron ke nishan-e-gham mah-e-kaamil mein rahte hain

gham-e-ishq-e-haqiqi be-asar ho jae na-mumkin
numayan laghzish-o-rasha kaf-e-qatil mein rahte hain

jo arman lab pe aa ke mojib-e-qatl-e-ghariban hain
wahi arman poshida dil-e-qatil mein rahte hain

hazaron kashtiyan us par ho jati hain sahil ke
hamare waste tufan chhupe sahil mein rahte hain

hamesha zindagi katti rahi tarik raaton mein
na jaane jwar-bhate kyun hamare dil mein rahte hain

zamana ke hawadis se na dar hargiz muqabil aa
jo ahl-e-dil hain duniya mein wahi mushkil mein rahte hain

mai-e-rangin surud-e-shokh raqs-e-dil-ruba shab ko
sahar ko 'soz' furqat ke nishan mahfil mein rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close