wah kya aalam ajab hai intizar-e-yar ka

wah kya aalam ajab hai intizar-e-yar ka
nam hai didar-e-hasrat hasrat-e-didar ka

sair hai jannat ki sairon se tere aashiq ka dil
le ke jannat kya kare bhuka tere didar ka

zarra-e-dil mein utar aae hazaron aaftab
kya karishma hai khyal-e-jalwa-gah-e-yar ka

badh chala tha teri ghaflat se bhi bar-e-bekasi
maut ne puchha mizaj aa kar tere bimar ka

jaante hain ek jhalak mein jaan-o-dil mit jaenge
log munh takte hain tere talib-e-didar ka

dhyan mein us ke do-alam se khincha baitha hun main
yani ek naqsha khincha hai jazb-e-husn-e-yar ka

jis ko kahte hain muqaddar aashiqan-e-bad-nasib
hai wo ek bigda hua khaka mizaj-e-yar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close