wahan sahilon pe bashaaraton ka charagh bhi hai jala hua

wahan sahilon pe bashaaraton ka charagh bhi hai jala hua
yahan hath mere bandhe hue mera baadban chhida hua

gai saaton ki talash mein mera harf harf bikhar gaya
kahin tere nam ka sher bhi tha bayaz-e-jaan pe likha hua

meri por por pe titliyan kai rang chhod ke ja chukin
tere zikr ka koi phul tha mare rat-jagon mein khila hua

use ret ret mein khojna use lahr lahr mein dhundhna
koi shahd sa tera ahd tha inhi sahilon pe likha hua

nae mausamon ke khiram bhi nae lams ras na aa sake
main ye e'tiraf kahan karun tera mo'tabar tha kaha hua

kisi mor-nach ka rang bhi teri aankh ko na lubha saka
koi zard zard sa khwab tha teri putliyon mein khuda hua

kisi aur ufuq ki sadaon par wo udas gunj chali gai
meri jhil aankh na sochna kabhi aa saka hai gaya hua

kisi hijr-shaal ki dhajjiyan mujhe saunp kar wo kahan gaya
wo dhanak dhanak se kata hua wo kiran kiran se buna hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close