wahi dagh-e-lala ki baat hai ki ba-nam-e-husn udhar gai

wahi dagh-e-lala ki baat hai ki ba-nam-e-husn udhar gai
koi kya kahe ki kahan kahan tere khal-e-rukh ki khabar gai

koi hath dashna-e-jaan-sitan koi hath marham-e-parniyan
ye to hath hath ki baat hai koi waqt pa ke sanwar gai

wahi ek sud o ziyan ka gham jo mizaj-e-ishq se dur tha
wo teri zaban pe bhi aa gaya to lagan hi ji ki bikhar gai

kisi ek silsila-e-wafa ki mataa zulf-e-dota nahin
koi pech-o-tab-e-hawa mile ki wo zulf ta-ba-kamar gai

ye shikayat-e-dar-o-baam kya ye rabaat-e-kohna ki raat kya
koi be-charagh shab-e-wafa tere shahr mein bhi guzar gai

isi zindagi ke hazar ufuq isi zindagi ke hazar rukh
isi ek khayal ki rau thi wo jo teri jabin pe bikhar gai

wo hazar shauq ki laghzishen magar ek lazzat-e-narasi
meri aashna-e-tarab nazar tere rukh pe aa ke thahar gai

kabhi aatish-e-khas-o-khar se bhi gulon ko zauq-e-numu mila
kabhi shakh-e-gul se lahak uthi wo sinan jo ta-ba-jigar gai

wo zaban-e-sarmad-e-be-dalil wo kharash-e-khanjar-e-hukmaran
koi imtihan-e-dalil kya ki dilon mein baat utar gai

wo gharib-e-shahr kahe bhi kya jo teri zaban se hai be-khabar
magar ek rah-e-sukhan bhi hai ki ye zindagi hai jidhar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close