wahi dard-e-musalsal wahi sarf-e-dua main

wahi dard-e-musalsal wahi sarf-e-dua main
basar hoti hui shab basar hota hua main

akela apna mahram ki apna dusra main
nazar mein aaina main samaat mein sadaen

miyan-e-mahsharisatan ajab be-wasta main
nahin us ki khabar main nahin apna pata main

main aasan bhi kathin bhi magar tum kaun mere
main aap apna tazabzub khud apna faisla main

sukun-e-na-ashna log ye aapas mein juda log
bahut kuchh dekhta hun sar-e-rahe khada main

main kya hun kis jagah hun kaho wabastagan kuchh
na mitti ki mahak main na parbat ki hawa main

tumhein jab lautna ho khushi se laut aana
wafa qaem milunga yahi main tai-shuda main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close