wahi daricha-e-jaan hai wahi gali yaro

wahi daricha-e-jaan hai wahi gali yaro
magar nigah irada badal chuki yaro

kitab-e-haal ka koi waraq nahin palta
kitab-e-ahd-e-guzishta bhi kab padhi yaro

hum apne zehn ki almariyon mein dhundenge
wo ek sal wo ek mah wo ghadi yaro

is ek mod pe tanha hamin akele hain
ki pichhle mod pe duniya bhi sath thi yaro

khuda ka shukr ki sab khairiyat se hai yani
mere wajud mein halchal hai aaj bhi yaro

ye aur baat ki un ko yaqin nahin aaya
pa koi baat to barson mein hum ne ki yaro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close