wahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbiren badalti hain

wahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbiren badalti hain
huzur-e-dost kya kya apni taqriren badalti hain

ye nagri husn walon ki ajab nagri hai ai hamdam
ki is nagri mein aahon ki bhi tasiren badalti hain

na itra ai dil-e-nadan kisi ke ahd-o-paiman par
ki qaul o fel kya logon ki tahriren badalti hain

khudai ka agar karte hain dawa but nahin beja
nigah-e-lutf se dekhen to taqdiren badalti hain

koi saffak jab didon mein dide dal deta hai
to dil se dil nahin ulfat ki jagiren badalti hain

kisi kafir ke yaad aate hain andaz-o-ada jis dam
nazar ke samne kitni hi taswiren badalti hain

kisi par barq girti hai koi chadhta hai suli par
ba-qadar-e-zauq-e-mujrim 'khar' taziren badalti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close