wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai

wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai
mohabbat karne wala har tarah majbur hota hai

jahan jate hain hum us ki gali se ho ke jate hain
agarche rasta is raste se dur hota hai

nahin rukte ghadi-bhar talib-e-didar ke aansu
ye zalim shauq goya aankh ka nasur hota hai

koi majnun ki izzat ishq ki sarkar mein dekhe
badi khidmat pe aisa aadmi mamur hota hai

hasinon ka tanazzul bhi nahin hai shan se khali
budhape mein bhi un logon ke munh pe nur hota hai

wo aisi khanda-peshani se har maruza sunte hain
ye samjhe arz karne wala ab manzur hota hai

tujhe mashhur hona ho to aashiq ki burai kar
burai se bahut jald aadmi mashhur hota hai

hamare ghar wo aa kar thak gae han kyun na thak jate
naya rasta jo ho nazdik bhi to dur hota hai

jo tum wabasta-e-daman ko samjhe dagh-e-bad-nami
to ab kya dur kar sakte ho ab ye dur hota hai

bada ehsan hoga mere dil ka khun kar dalo
yahi majbur karta hai yahi majbur hota hai

mujhe tum jaante ho aql se mazur han be-shak
mohabbat karne wala aql se mazur hota hai

hasin har ek ho sakta nahin be-shak safi' be-shak
wahi hota hai jo allah ko manzur hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close