wahi kuchh zindagi mein zindagi ka bhed pate hain

wahi kuchh zindagi mein zindagi ka bhed pate hain
jo paiham justuju karte hain barson gham uthate hain

jo sach puchho to khud jite hain aur jina sikhate hain
wo diwane jo har tufan-e-gham mein muskuraate hain

kuchh is andaz se wo apni mahfil mein bulate hain
ki insan ke qadam uthne se pahle kanp jate hain

wo pichhli shab ko apne rukh se jab parda uthate hain
mera ehsas shahid hai do-alam jhum jate hain

tajjub kyon hai meri be-khudi par ahl-e-mahshar ko
wo jis ko bhi pilate hain kuchh aisi hi pilate hain

nahin kuchh khak-e-dil lekin pahunch kar un ke daman tak
yahi zarre mah-o-khurshid ban kar jagmagate hain

mohabbat ibtida ta-intiha irfan-e-kaamil hai
magar hum to unhen pane se pahle khoe jate hain

tera kucha hi kyon rah rah ke paiham yaad aata hai
isi aalam mein aalam aur bhi to pae jate hain

shikayat kar rahe ho 'kaif' tum ko shukr lazim hai
wo mushkil se kisi ko apna diwana banate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close