wahi madar-e-tamanna wahi sitara-e-dil

wahi madar-e-tamanna wahi sitara-e-dil
fareb-khurda-e-mazi-o-haal-o-mustaqbil

tilism-khana-e-hasrat mein gardishen kab tak
wo ism de ki ho aaseb-e-justuju baatil

dil-e-kushada mein mere ho anjuman-ara
adu ba-rang-e-kudurat jahan na ho dakhil

hazar shoala lapakti hai aarzu ab bhi
mere lahu se charaghan hai kucha-e-qatil

rah-e-wafa ke musafir ki bebasi mat puchh
hamein uthae hue chal rahi hai khud manzil

khushi ki baat bhi ab sogwar karti hai
wo mehrban bhi ab ho to is se kya hasil

zamin pe dil ki lahu ke darakht hain goya
ye sher hote nahin aasman se nazil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close