wahi safar jo pas-e-karwan nahin hota

wahi safar jo pas-e-karwan nahin hota
mera safar hai kabhi raegan nahin hota

main chahta hun ki arman dastaras mein rahen
mujhe pata hai ki baam aasman nahin hota

hazar chikhon mein sunta hun us ki khamoshi
koi bhi zakhm kabhi be-zaban nahin hota

agar wo dariya tere shahr se guzarta nahin
rawan to hota par itna rawan nahin hota

main aise jalta hun jaise ki bujh raha ho koi
tu aisi aag hai jis ka dhuan nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close