wahm-o-guman jo had se guzarte chale gae

wahm-o-guman jo had se guzarte chale gae
hum reza reza ho ke bikharte chale gae

jalwa tumhaara ek nazar dekhne ke baad
dil mein nuqush-e-ishq nikharte chale gae

eajaz kam nahin tha kuchh un ke jamal ka
hum did ki talab mein sanwarte chale gae

din manzilon ne un ko sadaen bahut magar
diwane apni dhun mein guzarte chale gae

shayad meri wafaon mein hi thi koi kami
wade se apne wo to mukarte chale gae

aise parind jin ki udanen buland thin
un ke paron ko log katarte chale gae

'arif' rah-e-hayat mein neki ke nam par
jo kaam hum ko karne the karte chale gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close