wahshat-e-mubtala KHuda ke liye

'wahshat'-e-mubtala khuda ke liye
jaan deta hai kyun wafa ke liye
aashna sab hue hain begane
ek begana-ashna ke liye
hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye
tha use zauq-e-ashiq-azari
khub main ne maze jafa ke liye
ghaalib aai faramushi us ki
wada tadpa kiya wafa ke liye
ye bhi teri gada-nawazi thi
main ne bose jo naqsh-e-pa ke liye
zauq-e-nazzara ne kiya hai khak
surma hun chashm-e-surma-sa ke liye
justuju nang-e-arzu nikli
dard ruswa hua dawa ke liye
badh chali hai bahut haya teri
mujh ko ruswa na kar khuda ke liye
hai khamoshi mujhe zaban 'wahshat'
fikr kya arz-e-muddaa ke liye
This is a great shayari ashiq e rasool. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close