wahshaton ka aaj phir charcha raha aaj phir ye dil mera thahra raha wadiyon mein zindagi marti rahi dard aankhon se mere bahta raha pattharon ke war wo sahte gae aainon ke sath ye qissa raha masale shama bujha kar thak gae shauq ka suraj magar jalta raha zindagi apna safar karti gai ru-ba-ru aankhon ke ek chehra raha muntashir the dhadkanon ke saz bhi dil musalsal raat bhar tanha raha zakhm de kar thak gai ye zindagi khwab aankhon mein magar thahra raha