waise is aab-o-gil mein kya na hua koi banda magar khuda na hua uf re un ke jamal ka aalam mujh se izhaar-e-muddaa na hua saqi-e-mai-kada ne jo de di main use pi ke bad-maza na hua mujh se ibrat jahan ko hasil hai main bura ho ki bhi bura na hua zakhm dil ka shumar kaun kare tir us ka koi khata na hua qaid-e-gham se magar riha na hua main ne koshish bhi ki dua bhi ki qaid-e-gham se magar riha na hua mar gaya 'asi'-e-shikasta-dil ye bhi achchha hua bura na hua