waiz buton ke aage na furqan nikaliye

waiz buton ke aage na furqan nikaliye
surat se un ki mani-e-quran nikaliye

hai dil mein muddaa ki ewaz jaan nikaliye
ji khoiye pa ji ka na arman nikaliye

is dil mein aise tir hain kitne hi be-nishan
aap-apna dekh-bhaal ke paikan nikaliye

hai ji mein rakhiye aah ke shoala pe lakht-e-dil
pariyon ke sar pe takht-e-sulaiman nikaliye

zakhm aur aae lek meri jaan khalish na jae
dil chiriye jigar se na paikan nikaliye

dikhlaiye na kawish-e-paikan ka intizar
nashtar se jald dida-e-hairan nikaliye

rahiye 'mazaq' hashr ke maidan mein surkh-ru
mazmun-e-ru-e-shah-e-shahidan nikaliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close