waqar-e-shah-e-zawil-iqtadar dekh chuke

waqar-e-shah-e-zawil-iqtadar dekh chuke
zuhur-e-qudrat-e-parwardigar dekh chuke

naqab khol ke ru-e-nigar dekh chuke
kuchh ek bar nahin lakh bar dekh chuke

jahan ke aish-o-gham-e-rozgar dekh chuke
jo dekhta tha so parwardigar dekh chuke

wo jite-ji hue iza se naza ki aagah
jo sadme tere shab-e-intizar dekh chuke

khuda ke waste ab chhod jism-e-khaki ko
aziyyaten bahut o jaan-e-zar dekh chuke

junun ne khub dikhai bahaar-e-jeb-o-kanar
hawa mein udte hue tar tar dekh chuke

wo qaul ghair ko dete hain lete hain iqrar
teri taraf ko dil-e-be-qarar dekh chuke

yaqin hai ab na karen mere qatl mein takhir
fasan chata ke wo khanjar ki dhaar dekh chuke

na dal pech mein khatir na ab pareshan kar
bahut se dard-e-sar o zulf-e-yar dekh chuke

kare wo zinat-e-fitrak ya halal kare
kahin idhar ko bhi wo shahsawar dekh chuke

na pahuncha ek bhi zarra tumhaare daman tak
uda ke khak bhi hum khaksar dekh chuke

hue safed-o-siyah-e-jahan se waqif
bahut si gardish-e-lail-o-nahaar dekh chuke

kiye hain khub se nazzare bagh-e-hasti ke
jahan ko bas mere parwardigar dekh chuke

ilahi tu ne sharaf jis ko aasman pe diya
wo sar-zamin bhi ye khaksar dekh chuke

nahin hai ek mein himmat ye wo zamana hai
gharib dekh chuke mal-dar dekh chuke

tahi hai nashsha-e-ulfat se ye khum-e-gardun
sharaben pi ke tere baada-khwar dekh chuke

kulah-e-kaj ko hata kar dikha diya abru
qasam ali ki khinchi zul-fiqar dekh chuke

bhala wo khak karen qasd bazm-e-hasti ka
jo log rahat-e-kunj-mazar dekh chuke

hua yaqin farishton ko khaksari ka
kafan likha jo ye khatt-e-ghubar dekh chuke

amame-baz jo ye kanthe ghatte wale hain
jahan mein jaise hain zi-e'tibar dekh chuke

athai-gire hain sab jal-saz hain mufsid
kuchh ek do nahin hum to hazar dekh chuke

siwae zat-e-khuda sab ke waste hai fana
sabaat-e-hasti-e-na-paedar dekh chuke

qusur-e-bakht hai phir jaen ab agar mahrum
dar-e-karim to ummid-war dekh chuke

hazar-shukr ki baqi nahin koi hasrat
bahaar teri bhi o gul-ezar dekh chuke

najaf ko le gae mayyat farishta-e-naqqal
aziz khol ke mera mazar dekh chuke

faqir bhi mutarassid nigah-e-lutf ka hai
idhar bhi 'rind' mera shahryar dekh chuke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close