waqt ki tez rawi dekh ke dar jate hain log jite hain kuchh is tarah ki mar jate hain zindagani teri azmat ko badhane wale muskuraate hue maqtal se guzar jate hain bazm yaran ho ki dasht-e-shab-e-tanhai ho zakhm bharne pe jab aate hain to bhar jate hain ye shab-o-roz bhi auraq-e-pareshan ki tarah barha waqt ki aandhi mein bikhar jate hain kitni yaadon se ulajhti hai meri tanhai kitne tufan mere sar se guzar jate hain dur rah kar bhi kabhi shikwa-e-duri na raha aap hi aap hain jis samt jidhar jate hain apni palkon pe sajae hue ashkon ke charagh kuchh to kahiye ki 'rais' aap kidhar jate hain