wasl ki un buton se aas nahin ki tike dakshina ko pas nahin imtihan-e-wafa pe karb-e-firaq pas hain hae aur pas nahin nafs ko mar kar mile jannat ye saza qabil-e-qayas nahin dam mein ye aana aur jaana kya aap insan hain kuchh hawas nahin khauf-e-viran hua hai khana-e-dil aas kaisi ki yan to yas nahin kabe mein ja ke kya karen zahid wan ki aab-o-hawa hi ras nahin shairi hai meri ki sehr-e-halal bhala kah den to haq-shanas nahin paun kis se mazaq-e-sher ki dad aaj 'faizi'-o-'kalidas- nahin jam-e-khurshid mein hai aab-e-hayat ram-rangi ka ye gilas nahin 'kaifi' aur jam-e-baada se inkar tum ko kuchh nam ka bhi pas nahin