wasl mein aapas ki hujjat aur hai

wasl mein aapas ki hujjat aur hai
is shakar-ranji mein lazzat aur hai

kuchh nahin wada-khilafi ka gila
aap se hum ko shikayat aur hai

subh hote hi badal jaegi aankh
raat bhar un ki inayat aur hai

waz kahta hai jo mai-khane ke pas
mai-kasho waiz ki niyat aur hai

sans ukhdi hai tere bimar ki
ab koi dam ki musibat aur hai

huren bhi achchhi hain ai zahid magar
in pari-zadon ki surat aur hai

ilm jauhar hai 'hafiz' insan ka
sach hai lekin aadmiyat aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close