watan jis roz se chhuTa hai wo manzar nahin milta

watan jis roz se chhuta hai wo manzar nahin milta
dar-o-diwar mil jate hain lekin ghar nahin milta

bahut mushkil hai do duniyaon mein ek shakhs ka rahna
jo mujh mein sochta hai wo mujhe bahar nahin milta

na sikhe bap ki ungli pakad kar tifl gar chalna
use manzil to mil jae magar rahbar nahin milta

munafea-khor do din ke liye bhi kar nahin sakte
sile mein jis amal ke naqd-e-mal-o-zar nahin milta

nikale kaam apna khauf ki wo parwarish karke
mere dushman ko mujh mein koi aisa dar nahin milta

jabinon mein tadapte hain jo sajde wo kahan jaen
dayar-e-ghair mein jab tera sang-e-dar nahin milta

mera sajda hai zarb-e-but-shikan pindar ke sar par
yahan is raaz se waqif koi ham-sar nahin milta

zarurat ke mutabiq sab ko ai 'mukhtar' milta hai
gila is baat ka rahta hai jholi bhar nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close